Kaash mein school na jaata…

A poem dedicated to children killed in the Peshawar Attack. Reading this gives me goosebumps..  #PeshawarAttack

“Maa kaash mai aj school na jaata,
Shayad tumhe phir se dekh pata

Teri awaz sunney ko kaan taras rahe hai,
Dekho na maa baarudo k gole baras rahe hai

Saare baache apni apni maa ko pukar rahe hai,
Maa ye log hume kyu maar rahe hai

Tiffin me di tumari roti bhi nai khaai hai,
Maa aaj golio ne meri bhuk mitaai hai

Papa se kehna ab mujhe school lene na aaye,
Dekh nahi paunga unhe mera janaza uthaaye

Mere jaane se apna hausla mat khona,
Maa mujhse bichhad kar tum mat rona

Mere khilone ,meri kitabe , mera basta,
Janta hu teri aankhe dekhti rahegi roz mera rasta

bhaiyya se kehna uska sathi rooth gaya hai,
bachpan ka humara sath chhott gaya hai

Appi se kehna mere liye aansu na bahaye,
Roz meri tasveer ko chota sa phhol chadaye

Teri yaado me, khwabo me, zikr me, reh jaunga,

Maa mai ab kabhi wapas nahi aaunga…
Maa mai ab kabhi wapas nahi aaunga…

You may also like...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *